Tuesday, December 1, 2009

Koi Kaise bhool Jaaye

Koi Kaise bhool jaaye, Apne pehle pyar ki daastan
wo bheega hua mann, or dil-e-baikarar ki daastan.........

Koi Kaise bhool jaaye, wo pehle pyaar ki pehli mulakaat,
wo baat karne ki jhijhak, wo janmon k ekraar ki daastan.........

Koi Kaise bhool jaaye, wo pehle pyaar ka pehla khat,
wo kaampte hue haath, wo pyaar k izhaar ki daastan.........

Koi Kaise bhool jaaye, wo pehle pyaar k suhane din
wo ghanton milna, wo baatein hazaar ki daastan.........

Koi Kaise bhool jaaye, wo pehle pyaar ki pehli ruswai
wo roothna manana, wo mausam k baahar ki daastan.........

Koi Kaise bhool jaaye, pehle pyaar mein mila pehla dhoka
wo chehra us bewafa ka, wo jhoote dildaar ki daastan.........


composed by

Sooraj singh