Saturday, October 25, 2008

chahta hoon

Kyun Mujhe andhera pasand hai,
Mein roshni se door jaana chahta hoon,
Khushiyon ki jagah dil mein apne,
Kyun gum ka aashiyana banana chahta hoon/

Aisa kya hua mere saath,
Kyun mein ye sochkar rota hoon,
Dhoondta hoon chand saawalon k jawab,
Jab bhi mein tanha honta hoon,
Kya wajah hai mein mehfil ko chodkar
,Kyun tanhai ka saath nibhana chahta hoon/

Wo yaadien bhi taaza hain,
Wo zakhm bhi hara hai,
Jo nasoor ban gaya ho,
Kya wo zakhm kabhi bhara hai,
Dhoondhne se mil jagya ilaaz in zakhmon ka,
Par kyun mein in zakhmon ko bachana chahta hoon/

Na jaane kyun bhool gaye mujhe,
Yaad aate hain wo dost purane,
Wo ladna wo jhagadna,
Wo bachpan se jawani tak k yarane,
Jo mila matlabi hi mila,
Ab na koi dost pana chahta hoon/

Wo bada sa aangan,
Wo hara bhara ghar mera,
Wo meri maa k aanchal,
Jahan tha kabhi mera basera,
Bahut ji liya apno se door rehkar,
Marne se pehle ek baar ghar jaana chahta hoon
Bus ek baar ghar jaana chahta hoon……..Sooraj singh

uski yaad


Na jaane kyun uski yaad har pal aati hai,

Kyun har pal wo dil pe mere Dastak de jaati hai/

Mein sochta kuch hoon, sochne kuch lagta hoon…

wo aakar mere khawaabon mein, meri neendon ko churati hai/

Neend aati nahin, aati hai to khawaab uske aate hai…

mein nahin jaanta kya meri tarah wo bhi mujhe chahti hai/

usey maloom ho na ho, mehsoos hota hai mujhe...

jab baat karta hoon ussey, to meri Dhadkan Thehar jaati hai....


Composed by sooraj singh Labana

Thursday, October 23, 2008

khushi

aakhir kyun mujhe zamane ki koi khushi raas nahin aati

Mein dhoondta hoon gamon ka sahara, aur khushi mere pass nahin aati/

Na jaane kya baat hai, mein manata nahin janamdin apna,

Mein sooraj hokar bhi andhera dhoondta hoon, aur Roshni mere pass nahin aati/

Kyun kisi gum se bheega hai man mera,

sochta hoon jab ye, koi baat yaad khaas nahin aati/

mein jee raha hoon, ya jeene ka waham hai,

mar sakta nahin, aur zindagi mere pass nahin aati/

aakhir kyun mujhe zamane ki koi khushi raas nahin aati

Mein dhoondta hoon gamon ka sahara, aur khushi mere pass nahin aati/

by sooraj

Wednesday, October 22, 2008

zakhm saare dekhe hain

Maine Zindage k zakhm saare dekhe hain,
Pass aakar doobte huye kinare dekhe hain/

Roz dekhta hoon dhalta hua sooraj mein
,Aur roz maine toothte huye sitare dekhe hain/

Dil k dard ko aankhon se behte maine dekha hai,
Maine apno ko roothte, aur choothte huye sahare dekhe hain/

Apno se door jaate huye kisi shaksh ko maine dekha hai,
Koi dekhna bhi na chahe, maine wo nazare dekhe hain/

Apni tanhai se baat karke, dard cum hota hai dil ka,
Gin Gin kar din kaathe, maine kuch bechare dekhe hain/

Maine Zindage k zakhm saare dekhe hain,
Pass aakar doobte huye kinare dekhe hain/
By Sooraj

Thursday, October 16, 2008

Zindagi

Kyun har baar mujhe,
daga deti hai zindagi,
Chahta hoon marna,
Par jeene ki saza deti hai zindagi/

Mein maangta hoon duwaien,
Chand khushiyon ki khaatir,
Par kyun gamon ko,
Mere ghar ka pata deti hai zindagi//

Katra katra behkar,
Mein ghar se door nikal aaya,
Kyun mere dil mein,
Yaadon ko panah deti hai zindagi//

Apne naam ki tarhan,
Mein har waqt jalta hoon,
Meri duwaon ka,
Ye sila deti hai zindagi//

Ashkon k samandar mein,
Mein aksar door jaata hoon,
Kyun dil k dard ko,
Aankhon se jata deti hai zindagi//

Aadat to nahin mujhe,
Par jee leta hoon tanhaiyon mein,
Har haal mein jeena,
Sikha deti hai zindagi..................... By --- Sooraj singh

Wednesday, October 1, 2008

Wo hai meri maa...

Jiske aangan mein bachpan beeta,
jiske aanchal mein mein tha jeeta,
Aaj wo mujhse door hai,
mein ussey door hoon kahan,
jo bhi hai, jaisi bhi hai,
wo hai meri maa, wo hai meri maa......
Chot mujhe lagti thi,
Dard usey hota tha,
dularti thi mujhe wo,
jab kabhi mein rota tha,
mein Parwah nahin karta tha uski,
par usey mera khayal hota tha,
wo jaagti thi mere liye,
uski god mein chain se sota tha,
Apne sapno k liye,mein chod aaya wo jahan,
jo bhi hai, jaisi bhi hai,
wo hai meri maa.... wo hai meri maa...
wo hai meri maa..wo hai meri maa

By sooraj singh