Saturday, October 25, 2008

chahta hoon

Kyun Mujhe andhera pasand hai,
Mein roshni se door jaana chahta hoon,
Khushiyon ki jagah dil mein apne,
Kyun gum ka aashiyana banana chahta hoon/

Aisa kya hua mere saath,
Kyun mein ye sochkar rota hoon,
Dhoondta hoon chand saawalon k jawab,
Jab bhi mein tanha honta hoon,
Kya wajah hai mein mehfil ko chodkar
,Kyun tanhai ka saath nibhana chahta hoon/

Wo yaadien bhi taaza hain,
Wo zakhm bhi hara hai,
Jo nasoor ban gaya ho,
Kya wo zakhm kabhi bhara hai,
Dhoondhne se mil jagya ilaaz in zakhmon ka,
Par kyun mein in zakhmon ko bachana chahta hoon/

Na jaane kyun bhool gaye mujhe,
Yaad aate hain wo dost purane,
Wo ladna wo jhagadna,
Wo bachpan se jawani tak k yarane,
Jo mila matlabi hi mila,
Ab na koi dost pana chahta hoon/

Wo bada sa aangan,
Wo hara bhara ghar mera,
Wo meri maa k aanchal,
Jahan tha kabhi mera basera,
Bahut ji liya apno se door rehkar,
Marne se pehle ek baar ghar jaana chahta hoon
Bus ek baar ghar jaana chahta hoon……..Sooraj singh

No comments: